जिन्दगी की एक शाम

Next Poem45 / 840
Previous Poem
An Evening Of Life
Mere jindagi ka har shaam
bas tumhare hi naam hai
kuchh yadon ko mitane ke liye
jindagi ka har akhari pal
bas tere naam hai
khamoshiyon ki jindagi mein
uljha hua hai yeh jiwan
tum de do mujhe jindagi
bas yeh jindagi tumhare hi naam hai

ek pal ke liye main tera hua jo samajho
baki raha jo jiwan
bas tumhare hi naam samajho

kitni wafawon ki ummide
thee dil mein main sajaayee
jindagi ke har pal
bas bewafa hi kaam aayee

eis gulshan mein na ab koi phul khilta hai
mali hi jab khud barbad kar raha hai

tum mere jindagi ke khamoshiyon mein ho aayye
khamoshiya yeh meri
hardam mujhe rulaye
aana ho to aaow
eis jindagi mein ek pal
eis jindagi ka ek shaam
tumhare hi naam ho jaaye.

ramesh rai Wednesday, September 14, 2011
Note : मैं 90  के दशक में इंटर railway reconcilliation meeting में S & T के तरफ से बम्बई आज का मुम्बई गया था। यह कविता मैंने हैंगिंग गार्डन में बैठकर लिखा था । बाद में 2011 में poem hunter site में पोस्ट कर दिया। यह कविता हिंदी में है। कुछ लोगों का कहना है कि मेरी अंग्रेजी और बांग्ला कविता अच्छी होती है। आपको कैसा लगा बताएं।

Popular posts from this blog

Web Of Wisdom

नीलाम

THE HYMN OF MERCY